Friday 28 January 2011

Watch me burn..




Ankhon se un ko bahaa jo diya humne
Ye daawa hai dil se nikaal bhi diya humne

Ye gumaan hai ke ehm nhi hum un ke waaste
Un ke gumaan se khud ko, magar tabah kiya humne

Ab bhi osi manzil ki justuju ka hisar hai
Jis ka raasta hi muddat se chor diya humne

Apni anaa ke bar-khilaaf, apne ghuroor ke tazad se
Apni zaat ko un k aagay bichcha diya humne

Ye kesa karwaan guzar gaya hai ranjish ka
Un ki yaadon ko jab nzr-e-aatish kiya humne

Rabiya kyun-kar keh doon wo nhi mujh main shamil?
Ke un ke ehsaas ko apni rooh main basaa liya humne

- Ms.Shehab

No comments:

Post a Comment