Thursday 31 March 2011

Dilemma Of Luv


Har raasta bhi kuch raha mushkil
kuch manzil bhi meri mere pas na thi

shikwe na shikayat na koi gila
kismat hi zara apne saath na thi

sukoon talab hai is talaatum ke baad
meri kashti ke sahil pe muddat na thi

kis qadar be-bas hoon tere zulm ke aage
qabal kabhi be-basi ki ye shiddat na thi

tum pe kese dharoon ilzaam bewafai ka
tumhari fitrat se kab mujhe waqfiyat na thi

main is liye bhi zyada meherbaan rahi
mohobbat main aitedaal ki qail zara na thi

tumari khala, tumare mousam, tumara zamana
meri bahar ko is main kuch mouhlut na thi

maine chaha buht ke na chahoon tumhain
mere ikhtiyar main magar meri chahat na thi

khud apne hi teer se ghaayal hain rabiya
khudaaon ki tou pehle ye aadat na thi

- Ms.Shehab

No comments:

Post a Comment