Zindagi main zindagi muqarar howa karti hai
Maut bhi doston kya naymat howa karti hai
Ilm howa jo, ke howe hain ilm se tabah
Jana ke la-ilmi hazar daulat howa karti hai
Girte, sanbhalte chale magar na hosla chora
Ba-wafa rehna kahin taqat howa karti hai
Saath rehna humesha zaroori tou nhi
Dour rehna bhi bari wafa howa karti hai
Jism ka kya, aj ho, kal na howa kare
Rooh se rooh ki asl mohobat howa karti hai
Bikhar jane ki khwahish hai zabt kyun ho
Mujhe, khudi se apni, adaawat howa karti hai
Meri wehshat dehleez paar hai ab ke
Lab kholna hi yahan baghawat howa karti hai
Saabit rehna hi jahan main tey nhi Rabiya
Toot jane ki kabhi kabhi zaroorat howa karti hai
- Ms. Shehab
No comments:
Post a Comment