Monday, 28 February 2011

Ahmed Faraz





Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa


Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tuu bhii tou kabhii mujh ko manaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii tou
Rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judaaii kaa sabab hum 
Tuu mujh se Khafaa hai tou zamaane ke liye aa 

Ab tak dil-e-Khush-faham ko tujh se hain ummiiden 
Ye aaKhirii shammen bhii bujhaane ke liye aa


Ek umr se huun lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
Ay raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
Chupake se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane
Aise hii kisii roz na jaane ke liye aa


1 comment:

  1. main kabhi na muskurata, gar mujhe ye ilm hota
    ke hazaar gham milenge, mujhe ek khushi se pehle..

    Great going Raabi... i didnt knw your blog was progressing so well... Really REALLY glad to see you growing and blossoming and flourishing... :)

    Bon Mydrium sweetheart.

    Remember always that you not only have the right to be an individual, you have an obligation to be one. - Eleanor Roosevelt

    ReplyDelete