Dheere dheere aashna hone lage, tou yun lagta raha
Chaar din hain mohobat ke, guzarte jaa rahe hain
Chaar din hain mohobat ke, guzarte jaa rahe hain
Zara se jo maraasim barhe, hum ne jana
Aap chaand, hum aapki chandni hote jaa rahe hain
Rafta rafta maraahil jo aatay gaye
Dil ghabraane laga ke faasle hote jaa rahe hain
Shab-e-hijr jo yaadon main katt rahi hai
Andhere ye aankhon main utarte jaa rahe hain
Wo aap ki hansi, wo lehje, wo kuch toote jumle
Ab bhi mere kaanon main gounje jaa rahe hain
Yun mehsus hone laga hai, manzilon ko chor kar
Hum raaston pe dar-ba-dar, bhatakte jaa rahe hain
Ab tou karam kijiye, ab tou zara pukaar lijiye
Ye lamhon ke daaman warna, simat-te jaa rahe hain
Ab ke JAANA mere sabr ka aazmaa na kijiye
Ke jate jate hum jaan se jaa rahe hain..
-Ms.Shehab
No comments:
Post a Comment